Sitam Ye Hai Ki Un Ka Jaur-e-paiham Kam Nahin Hota

sitam ye hai ki un ka jaur-e-paiham kam nahin hota

mizaj-e-ishq is par bhi kabhi barham nahin hota

ye haalat hai ki kuchh pa kar KHushi dil ko nahin hoti

agar kuchh kho bhi jata hai to us ka gham nahin hota

kabhi hanste hain aur aankhon mein aansu aae jate hain

kabhi rote hain aur daman-e-mizhgan nam nahin hota

KHulus aur aashti ki rah mein aankhen bichhata hun

ghurur-e-jah ke aage mera sar KHam nahin hota

nishan-e-naqsh-e-pa chhoDunga har ek gam par mujh se

guzishta azmaton ki KHak par matam nahin hota

(394) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sitam Ye Hai Ki Un Ka Jaur-e-paiham Kam Nahin Hota In English By Famous Poet Manzoor Ahmad Manzoor. Sitam Ye Hai Ki Un Ka Jaur-e-paiham Kam Nahin Hota is written by Manzoor Ahmad Manzoor. Read famous Poem Sitam Ye Hai Ki Un Ka Jaur-e-paiham Kam Nahin Hota for youth and Student by Manzoor Ahmad Manzoor. Free Download Sitam Ye Hai Ki Un Ka Jaur-e-paiham Kam Nahin Hota in PDF.