Tare Ginte Raat KaTti Hi Nahin Aati Hai Nind

tare ginte raat kaTti hi nahin aati hai nind

dil ko taDpata hai hijr aankhon ko tarsati hai nind

ghar mein aankhon ke qadam rakhne nahin pati hai nind

donon palkon ke tamanche raat-bhar khati hai nind

farsh-e-rahat par mujhe jis waqt yaad aata hai yar

murgh-e-dil aisa phaDakta hai ki uD jati hai nind

kaun hai rahat-rasan apna shab-e-andoh mein

maut bhi aankhen churaati hai jo sharmati hai nind

soun kya aankhon ki Dhele ho gai hain sang-e-rah

aa ke tere KHwab-gah mein Thokaren khati hai nind

ain rahat hai mujhe KHidmat-guzari yar ke

talwe aankhon se jo sahlata hun aa jati hai nind

din nikal aata hai uThne ko nahin ji chahta

sath jab sota hai wo kya panw phailati hai nind

KHwahish-e-didar aankhon mein bhari hai soun kya

putliyon mein apni ja til-bhar nahin pati hai nind

murgh-e-bismil aashiq-e-mahjur dono ek hain

us ko phaDkati hai marg aur is ko taDpati hai nind

kaise takiye kaise toshak kaisa hota hai palang

main wo ghafil hun mere ghar aa ke pachhtati hai nind

bhul jata hun main ghaflat mein KHayal-e-yar ke

badle rahat ki aziyyat mujh ko pahunchati hai nind

bagh-e-jannat ko yunhi KHwab-e-adam dikhlaega

jis tarah ku-e-sanam mujh ko dikha lati hai nind

jab thake us ki sawari dauD kar yun soe hum

jaise saudagar ko ghoDe bech kar aati hai nind

sote sote jab pukar uThta hun apne yar ko

marqadon ke sone walon ki uchaT jati hai nind

yar-e-gul-andam ka zanu kahan ye sar kahan

'bahr' main sota hun mujh ko KHwab dikhlati hai nind

(779) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tare Ginte Raat KaTti Hi Nahin Aati Hai Nind In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Tare Ginte Raat KaTti Hi Nahin Aati Hai Nind is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Tare Ginte Raat KaTti Hi Nahin Aati Hai Nind for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Tare Ginte Raat KaTti Hi Nahin Aati Hai Nind in PDF.