Gardish-e-charKH Se Qayam Nahin

gardish-e-charKH se qayam nahin

subh ghar mein hun main to sham nahin

kabhi to munh se boliye sahab

be-dahan ho to kuchh kalam nahin

jaan-ba-lab hun firaq-dil-bar mein

subh jita raha to sham nahin

kis ke zulfon ke baal bikhre hain

mere nabzon mein intizam nahin

roz-o-shab zikr-e-zulf-o-arif hai

ye kahani kabhi tamam nahin

kya raqibon se main jihad karun

mere hamrah wo imam nahin

tera diwana mar gaya shayad

aaj galiyon mein azhdaham nahin

hijr mein ye sharab hai tezab

hath par aabla hai jam nahin

kya samajh kar ye naz karte hain

amradon ka koi ghulam nahin

walwale the shabab tak apne

ab hamari wo dhum-dham nahin

is taraf se hain sajde par sajde

us taraf se kabhi salam nahin

dil ko le kar alag hue aise

ki kabhi tum ko hum se kaam nahin

mauj dariya-e-paemali hai

us jafakar ka KHiram nahin

bosa le kar maza mila mujh ko

hanzal us ka zaqan hai aam nahin

kis ke bal par wo shoKH hai maghrur

KHat-e-shab-rang fauj-e-sham nahin

'bahr' bahke hue hain ahl-e-dil

nashsha-e-ab-e-zar mudam nahin

(767) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gardish-e-charKH Se Qayam Nahin In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Gardish-e-charKH Se Qayam Nahin is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Gardish-e-charKH Se Qayam Nahin for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Gardish-e-charKH Se Qayam Nahin in PDF.