Aaina Dekhen Na Hum Aks Hi Apna Dekhen

aaina dekhen na hum aks hi apna dekhen

jab bhi dekhen to hum apne ko akela dekhen

mom ke log kaDi dhup mein aa baiThe hain

aao ab un ke pighalne ka tamasha dekhen

tab ye ehsas hamein hoga ki ye KHwab hai sab

band aankhon ko karen KHwab ki duniya dekhen

baat karte hain to nashtar sa utar jata hai

ab wo lahje ki tamazat ka KHasara dekhen

tu ne nazren na milane ki qasam khai hai

aaina samne rakh kar tera chehra dekhen

koi bhi shai hasin lagti nahin jab tere siwa

ye bata shahr mein hum tere siwa kya dekhen

qatl aur KHun ke manazir hain jo basti basti

kaise insanon ki duniya ka tamasha dekhen

itna virani se rishta hai 'zafar' apna ab

KHwab ki duniya mein bhi sahra hi sahra dekhen

(1073) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaina Dekhen Na Hum Aks Hi Apna Dekhen In English By Famous Poet Zafar Iqbal Zafar. Aaina Dekhen Na Hum Aks Hi Apna Dekhen is written by Zafar Iqbal Zafar. Read famous Poem Aaina Dekhen Na Hum Aks Hi Apna Dekhen for youth and Student by Zafar Iqbal Zafar. Free Download Aaina Dekhen Na Hum Aks Hi Apna Dekhen in PDF.