Talash-e-qabr Mein Yun Ghar Se Hum Nikal Ke Chale

talash-e-qabr mein yun ghar se hum nikal ke chale

kafan baghal mein liya munh pe KHak mal ke chale

hawa khilani thi duniya ki meri mayyat ko

uThane wale jo kandha badal badal ke chale

jagah na di hamein us shama-ru ne pahlu mein

hawas bujhane ko aae the aur jal ke chale

uTha ke bazm se hum le chale jo KHalwat mein

qadam qadam pe wo ruThe machal machal ke chale

yahan tak aae hain tai hum do-manzila kar ke

tumhaari bazm mein pahunche hain aaj-kal ke chale

shahid-e-naz ki mayyat jo dekhi gul-dar-gul

kafan khasuT jo aae the hath mal ke chale

kamand-e-kakul-e-pechan se dur dur rahe

qaza Tale jo 'sharaf' us bala se Tal ke chal

(844) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Talash-e-qabr Mein Yun Ghar Se Hum Nikal Ke Chale In English By Famous Poet Agha Hajju Sharaf. Talash-e-qabr Mein Yun Ghar Se Hum Nikal Ke Chale is written by Agha Hajju Sharaf. Read famous Poem Talash-e-qabr Mein Yun Ghar Se Hum Nikal Ke Chale for youth and Student by Agha Hajju Sharaf. Free Download Talash-e-qabr Mein Yun Ghar Se Hum Nikal Ke Chale in PDF.