Har Lamha Ata Karta Hai Paimana Sa Ek ShaKHs

har lamha ata karta hai paimana sa ek shaKHs

aankhon mein liye baiTha hai mai-KHana sa ek shaKHs

aur is ke siwa anjuman-e-naz mein kya hai

hai shama sa ek shaKHs to parwana sa ek shaKHs

KHamosh nigahon mein qayamat ka asar tha

guzra hai sunata hua afsana sa ek shaKHs

ek husn-e-mukammal hai to ek ishq-sarapa

hoshyar sa ek shaKHs hai diwana sa ek shaKHs

hum jalwa-e-asnam se bezar hain lekin

milta hai wahan ruh-e-sanam-KHana sa ek shaKHs

(710) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Lamha Ata Karta Hai Paimana Sa Ek ShaKHs In English By Famous Poet Akhtar Ansari Akbarabadi. Har Lamha Ata Karta Hai Paimana Sa Ek ShaKHs is written by Akhtar Ansari Akbarabadi. Read famous Poem Har Lamha Ata Karta Hai Paimana Sa Ek ShaKHs for youth and Student by Akhtar Ansari Akbarabadi. Free Download Har Lamha Ata Karta Hai Paimana Sa Ek ShaKHs in PDF.