Sahaara De Nahin Sakte Shikasta Panw Ko

sahaara de nahin sakte shikasta panw ko

haTao rah-e-mohabbat se rahnumaon ko

bana raha hun hasin aur mah-laqaon ko

saja raha hun main aafaq ki fazaon ko

nazar nazar se milata hun muskuraata hun

junun ki shan dikhata hun dil-rubaon ko

qadam qadam pe nae inqalab raqsan hain

duaen dete hain hum aap ki adaon ko

mila jo daman-e-sahil to aisi mauj aai

safine saunp diye hum ne na-KHudaon ko

nigah pherne walon se puchhta hun main

tum aazmaoge kab tak meri wafaon ko

abhi to dasht-o-daman mein bahaar aai hai

abhi chaman mein khilane hain gul hawaon ko

chale hain jaanib-e-dar-o-rasan KHarabaati

gunah ka rang dikhana hai parsaon ko

har ek lamha-e-nau ka ab ehtiram karo

naya payam do 'aKHtar' nai fazaon ko

(754) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sahaara De Nahin Sakte Shikasta Panw Ko In English By Famous Poet Akhtar Ansari Akbarabadi. Sahaara De Nahin Sakte Shikasta Panw Ko is written by Akhtar Ansari Akbarabadi. Read famous Poem Sahaara De Nahin Sakte Shikasta Panw Ko for youth and Student by Akhtar Ansari Akbarabadi. Free Download Sahaara De Nahin Sakte Shikasta Panw Ko in PDF.