Nahin Aasan Tark-e-ishq Karna Dil Se Gham Jaana

nahin aasan tark-e-ishq karna dil se gham jaana

bahut dushwar hai chaDhte hue tufan ka tham jaana

KHabar kya thi sitam ki parda-dari yun bhi hoti hai

bahut nadim hun jab se maqsad-e-josh-e-karam jaana

lihaz-e-waza-dari mein kabhi mumkin na ho shayad

tumhaara do qadam aana hamara do qadam jaana

hamein andaz-e-rindana kabhi girne nahin dete

jo saghar samne aaya usi ko jam-e-jam jaana

mera har sher 'aKHtar' ek payam-e-zindagi nikla

mujhe duniya ne aaKHir malik-e-lauh-e-qalam jaana

(718) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nahin Aasan Tark-e-ishq Karna Dil Se Gham Jaana In English By Famous Poet Akhtar Ansari Akbarabadi. Nahin Aasan Tark-e-ishq Karna Dil Se Gham Jaana is written by Akhtar Ansari Akbarabadi. Read famous Poem Nahin Aasan Tark-e-ishq Karna Dil Se Gham Jaana for youth and Student by Akhtar Ansari Akbarabadi. Free Download Nahin Aasan Tark-e-ishq Karna Dil Se Gham Jaana in PDF.