Nadim Bagh Mein Josh-e-numu Ki Baat Na Kar

nadim bagh mein josh-e-numu ki baat na kar

bahaar aa to gai rang-o-bu ki baat na kar

ajib bhul-bhulayyan hai shahrah-e-hayat

bhaTakne wale yahan justuju ki baat na kar

tabah kar na mazaq-e-junun ki KHuddari

dil-e-tabah kisi tund-KHu ki baat na kar

KHud apne tarz-e-amal ko sanwar aur sanwar

mere rafiq tariq-e-adu ki baat na kar

gurez-e-husn ko andaz-e-husn kahte hain

nazar se dekh magar KHub-ru ki baat na kar

ye barq-e-husn jalati to hai magar naseh

wo aur shai hai mere shoala-KHu ki baat na kar

ye mai-kade ki faza kah rahi hai ai 'aKHtar'

ki tishnagi mein bhi jam-o-subu ki baat na kar

(809) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nadim Bagh Mein Josh-e-numu Ki Baat Na Kar In English By Famous Poet Akhtar Ansari Akbarabadi. Nadim Bagh Mein Josh-e-numu Ki Baat Na Kar is written by Akhtar Ansari Akbarabadi. Read famous Poem Nadim Bagh Mein Josh-e-numu Ki Baat Na Kar for youth and Student by Akhtar Ansari Akbarabadi. Free Download Nadim Bagh Mein Josh-e-numu Ki Baat Na Kar in PDF.