Kaun Sunta Hai Sirf Zat Ki Baat

kaun sunta hai sirf zat ki baat

lab pe hai mere kaenat ki baat

kyun shikan paD gai hai abru par

main to kahta hun ek baat ki baat

shama roti hai tare Dubte hain

ab fasana banegi raat ki baat

subh-e-nau muskurane wali hai

kya kahen shab ke hadsat ki baat

muztarib ho rahe hain diwane

hai tumhaari nawazishat ki baat

bazm-e-'aKHtar' mein kyun KHamosh ho tum

hai ye beja takallufat ki baat

(682) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Kaun Sunta Hai Sirf Zat Ki Baat In English By Famous Poet Akhtar Ansari Akbarabadi. Kaun Sunta Hai Sirf Zat Ki Baat is written by Akhtar Ansari Akbarabadi. Read famous Poem Kaun Sunta Hai Sirf Zat Ki Baat for youth and Student by Akhtar Ansari Akbarabadi. Free Download Kaun Sunta Hai Sirf Zat Ki Baat in PDF.