Ye Mohabbat Ki Jawani Ka Saman Hai Ki Nahin

ye mohabbat ki jawani ka saman hai ki nahin

ab mere zer-e-qadam kahkashan hai ki nahin

daman-e-rind-e-bala-nosh ko dekh ai saqi

parcham-e-KHwajgi-e-kaun-o-makan hai ki nahin

muskuraate hue guzre the idhar se kuchh log

aaj pur-nur guzar-gah-e-zmaan hai ki nahin

husn hi husn hai gulzar-e-junun mein raqsan

ishq ka aalam-e-sad-rang jawan hai ki nahin

rah par aa hi gae aaj bhaTakne wale

rahbar dekh wo manzil ka nishan hai ki nahin

lakh girdab-o-talatum se guzar kar ai dost

ab safina mera sahil pe rawan hai ki nahin

tazkire apne har ek bazm mein hain ai 'aKHtar'

aaj mohmal si hadis-e-digran hai ki nahin

(1158) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Mohabbat Ki Jawani Ka Saman Hai Ki Nahin In English By Famous Poet Akhtar Ansari Akbarabadi. Ye Mohabbat Ki Jawani Ka Saman Hai Ki Nahin is written by Akhtar Ansari Akbarabadi. Read famous Poem Ye Mohabbat Ki Jawani Ka Saman Hai Ki Nahin for youth and Student by Akhtar Ansari Akbarabadi. Free Download Ye Mohabbat Ki Jawani Ka Saman Hai Ki Nahin in PDF.