Zulm Sahte Rahe Shukr Karte Rahe Aai Lab Tak Na Ye Dastan Aaj Tak

zulm sahte rahe shukr karte rahe aai lab tak na ye dastan aaj tak

mujh ko hairat rahi anjuman mein teri kyun hain KHamosh ahl-e-zaban aaj tak

ishq mahw-e-gham-e-zindagi ho gaya husn madhosh-e-ishwa-taraazi raha

ahl-e-dil hosh mein aa chuke hain magar hai wahi aalam-e-dil-baran aaj tak

aise guzre hain ahl-e-nazar rah se jin ke qadmon se zarre munawwar hue

aur aise munawwar jinhen dekh kar rashk karti rahi kahkashan aaj tak

karwanon ke rahbar ne rahzan phir bhi manzil pe kuchh rah-rau aa gae

wo nae karwanon ke rahbar bane jin se hai azmat-e-rahbaran aaj tak

mushkilen aafaten hadse sanehe aae 'aKHtar' meri rah mein kis qadar

mujh ko aage baDhata raha hai magar mera dil mera azm-e-jawan aaj tak

(859) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zulm Sahte Rahe Shukr Karte Rahe Aai Lab Tak Na Ye Dastan Aaj Tak In English By Famous Poet Akhtar Ansari Akbarabadi. Zulm Sahte Rahe Shukr Karte Rahe Aai Lab Tak Na Ye Dastan Aaj Tak is written by Akhtar Ansari Akbarabadi. Read famous Poem Zulm Sahte Rahe Shukr Karte Rahe Aai Lab Tak Na Ye Dastan Aaj Tak for youth and Student by Akhtar Ansari Akbarabadi. Free Download Zulm Sahte Rahe Shukr Karte Rahe Aai Lab Tak Na Ye Dastan Aaj Tak in PDF.