Rahne De Ye Tanz Ke Nashtar Ahl-e-junun Bebak Nahin

rahne de ye tanz ke nashtar ahl-e-junun bebak nahin

kaun hai apne hosh mein zalim kis ka gareban chaak nahin

jab tha zamana diwanon ka ab farzane aae hain

jab sahra mein lala-o-gul the ab gulshan mein KHak nahin

fitnon ki arzani se ab ek ek tar aaluda hai

hum dekhen kis kis ke daman ek bhi daman pak nahin

mauj-e-talatum KHair hain hum sahil ke qarib aate hi nahin

waqt ki rau mein bah jaen hum aise KHas-o-KHashak nahin

dard-o-karb se hashr bapa honTon pe tabassum hai 'aKHtar'

dil ka aalam kuchh bhi rahe aankhen to magar namnak nahin

(701) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rahne De Ye Tanz Ke Nashtar Ahl-e-junun Bebak Nahin In English By Famous Poet Akhtar Ansari Akbarabadi. Rahne De Ye Tanz Ke Nashtar Ahl-e-junun Bebak Nahin is written by Akhtar Ansari Akbarabadi. Read famous Poem Rahne De Ye Tanz Ke Nashtar Ahl-e-junun Bebak Nahin for youth and Student by Akhtar Ansari Akbarabadi. Free Download Rahne De Ye Tanz Ke Nashtar Ahl-e-junun Bebak Nahin in PDF.