Na Jaane Qafile Poshida Kis Ghubar Mein Hain

na jaane qafile poshida kis ghubar mein hain

ki manzilon ke charagh ab tak intizar mein hain

bacha bacha ke guzarna hai daman-e-hasti

sharik-e-KHar bhi kuchh jashn-e-nau-bahaar mein hain

kisi jadid talatum ka intizar na ho

suna to hai ki safine abhi qarar mein hain

pukarte hain ki dauDo guzar na jae ye daur

charagh bujhte hue se jo rahguzar mein hain

abhi to dur hai manzil ye qafilon ke hujum

abhi to marhala-e-jabr-o-iKHtiyar mein hain

abhi bahaar ne sikhi kahan hai dil-jui

hazar dagh abhi qalb-e-lala-zar mein hain

nikhar nikhar ke jo masmum kar rahe hain faza

kuchh aise phul bhi 'aKHtar' nai bahaar mein hain

(688) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Jaane Qafile Poshida Kis Ghubar Mein Hain In English By Famous Poet Akhtar Ansari Akbarabadi. Na Jaane Qafile Poshida Kis Ghubar Mein Hain is written by Akhtar Ansari Akbarabadi. Read famous Poem Na Jaane Qafile Poshida Kis Ghubar Mein Hain for youth and Student by Akhtar Ansari Akbarabadi. Free Download Na Jaane Qafile Poshida Kis Ghubar Mein Hain in PDF.