Aql Ki Sath Se Kuchh Aur Ubhar Jaana Tha

aql ki sath se kuchh aur ubhar jaana tha

ishq ko manzil-e-pasti se guzar jaana tha

jalwe the halqa-e-sar dam-e-nazar se bahar

main ne har jalwe ko paband-e-nazar jaana tha

husn ka gham bhi hasin fikr hasin dard hasin

un ko har rang mein har taur sanwar jaana tha

husn ne shauq ke hangame to dekhe the bahut

ishq ke dawa-e-taqdis se Dar jaana tha

ye to kya kahiye chala tha main kahan se hamdam

mujh ko ye bhi na tha malum kidhar jaana tha

husn aur ishq ko de tana-e-bedad 'majaz'

tum ko to sirf isi baat par mar jaana tha

(922) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aql Ki Sath Se Kuchh Aur Ubhar Jaana Tha In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Aql Ki Sath Se Kuchh Aur Ubhar Jaana Tha is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Aql Ki Sath Se Kuchh Aur Ubhar Jaana Tha for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Aql Ki Sath Se Kuchh Aur Ubhar Jaana Tha in PDF.