Barbaad-e-tamanna Pe Itab Aur Ziyaada

barbaad-e-tamanna pe itab aur ziyaada

han meri mohabbat ka jawab aur ziyaada

roen na abhi ahl-e-nazar haal pe mere

hona hai abhi mujh ko KHarab aur ziyaada

aawara o majnun hi pe mauquf nahin kuchh

milne hain abhi mujh ko KHitab aur ziyaada

uTThenge abhi aur bhi tufan mere dil se

dekhunga abhi ishq ke KHwab aur ziyaada

Tapkega lahu aur mere dida-e-tar se

dhaDkega dil-e-KHana-KHarab aur ziyaada

hogi meri baaton se unhen aur bhi hairat

aaega unhen mujh se hijab aur ziyaada

use mutrib-e-bebak koi aur bhi naghma

ai saqi-e-fayyaz sharab aur ziyaada

(835) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Barbaad-e-tamanna Pe Itab Aur Ziyaada In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Barbaad-e-tamanna Pe Itab Aur Ziyaada is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Barbaad-e-tamanna Pe Itab Aur Ziyaada for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Barbaad-e-tamanna Pe Itab Aur Ziyaada in PDF.