Ek Nae Sanche Mein Dhal Jata Hun Main

ek nae sanche mein Dhal jata hun main

qatra qatra roz pighal jata hun main

jab se wo ek suraj mujh mein Duba hai

KHud ko bhi chhu lun to jal jata hun main

aaina bhi hairani mein Duba hai

itna kaise roz badal jata hun main

miThi miThi baaton mein malum nahin

jaane kitna zahr ugal jata hun main

ab Thokar khane ka mujh ko KHauf nahin

girta hun to aur sambhal jata hun main

akasr ab apna pichha karte karte

KHud se kitni dur nikal jata hun main

(979) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Ek Nae Sanche Mein Dhal Jata Hun Main In English By Famous Poet Bharat Bhushan Pant. Ek Nae Sanche Mein Dhal Jata Hun Main is written by Bharat Bhushan Pant. Read famous Poem Ek Nae Sanche Mein Dhal Jata Hun Main for youth and Student by Bharat Bhushan Pant. Free Download Ek Nae Sanche Mein Dhal Jata Hun Main in PDF.