KHwahish-e-parwaz Hai To Baal-o-par Bhi Chahiye

KHwahish-e-parwaz hai to baal-o-par bhi chahiye

main musafir hun mujhe raKHt-e-safar bhi chahiye

is qadar bhi ranj ka KHugar nahin hun main abhi

raste mein dhup ho to ek shajar bhi chahiye

yun mukammal ho nahin sakta koi bhi aks ho

aaina bhi chahiye zauq-e-nazar bhi chahiye

sirf sanson ka tasalsul hi nahin hai zindagi

apne hone ki hamein koi KHabar bhi chahiye

doston ki is ada par ho gaya qurban main

meri pagDi le chuke ab mera sar bhi chahiye

mutmain sahra mein aa ke bhi nahin tanhaiyan

sham hote hi inhen diwar-o-dar bhi chahiye

(865) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwahish-e-parwaz Hai To Baal-o-par Bhi Chahiye In English By Famous Poet Bharat Bhushan Pant. KHwahish-e-parwaz Hai To Baal-o-par Bhi Chahiye is written by Bharat Bhushan Pant. Read famous Poem KHwahish-e-parwaz Hai To Baal-o-par Bhi Chahiye for youth and Student by Bharat Bhushan Pant. Free Download KHwahish-e-parwaz Hai To Baal-o-par Bhi Chahiye in PDF.