KHwab Jine Nahin Denge Tujhe KHwabon Se Nikal

KHwab jine nahin denge tujhe KHwabon se nikal

waqt barbaad na kar raegan sochon se nikal

dasht-e-imkan mein dariya bhi hai baadal bhi hain

shart bas itni hai tu apne sarabon se nikal

ek be-rang si taswir bana le KHud ko

rang yaksan nahin rahte kabhi rangon se nikal

warna tu apne hi andar kahin bujh jaega

khul ke ab samne aa apne andheron se nikal

shab ne suraj se kaha ye to nahin tera maqam

chal bulandi ki tarah lauT nashebon se nikal

tere hone ka tujhe bhi to ho ehsas koi

ek konpal ki tarah apni hi shaKHon se nikal

ab wo girdab ki kashti ki kahani na suna

tujh ko sahil pe pahunchna hai to maujon se nikal

ek na ek roz samundar ka safar karna hai

apne ehsas ke mahdud jaziron se nikal

(948) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwab Jine Nahin Denge Tujhe KHwabon Se Nikal In English By Famous Poet Bharat Bhushan Pant. KHwab Jine Nahin Denge Tujhe KHwabon Se Nikal is written by Bharat Bhushan Pant. Read famous Poem KHwab Jine Nahin Denge Tujhe KHwabon Se Nikal for youth and Student by Bharat Bhushan Pant. Free Download KHwab Jine Nahin Denge Tujhe KHwabon Se Nikal in PDF.