Kya Kahen Kyunkar Hua Tufan Mein Paida Qafas

kya kahen kyunkar hua tufan mein paida qafas

mauj jab bal kha ke uTThi ban gaya dariya qafas

zindagi gham ka badal hai aarzuen yas ka

aasman sayyaad hum qaidi hain aur duniya qafas

dil ke haq mein sina zindan aarzu ke haq mein dil

saikDon dekhe hain lekin ye naya dekha qafas

din asiri ke ba-har-surat guzare jaenge

ek qaidi ke liye hai kya bura achchha qafas

koi bhi diwar sadd-e-rah ho sakti nahin

tol baiThe par to phir sayyaad kya kaisa qafas

apna ghar phir apna ghar hai apne ghar ki baat kya

ghair ke gulshan se sau darja bhala apna qafas

ai 'falak' aai yahan bhi mujh ko yaad-e-ashiyan

barq tu gardun pe chamki jagmaga uTTha qafas

(647) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Kahen Kyunkar Hua Tufan Mein Paida Qafas In English By Famous Poet Heera Lal Falak Dehlvi. Kya Kahen Kyunkar Hua Tufan Mein Paida Qafas is written by Heera Lal Falak Dehlvi. Read famous Poem Kya Kahen Kyunkar Hua Tufan Mein Paida Qafas for youth and Student by Heera Lal Falak Dehlvi. Free Download Kya Kahen Kyunkar Hua Tufan Mein Paida Qafas in PDF.