Dil-e-muztar Ko Hum Kuchh Is Tarah Samjhae Jate Hain

dil-e-muztar ko hum kuchh is tarah samjhae jate hain

ki wo bas aa rahe hain aa hi pahunche aae jate hain

nigah-e-shauq ke parwarda nazzaron ki mahfil mein

ye dil bahle na bahle han magar bahlae jate hain

ba-zahir to bahut nazuk hain dil ahl-e-mohabbat ke

yahi shishe kabhi patthar se bhi Takrae jate hain

hansa karte the sun kar dastan-e-qais bachpan mein

jawan ho kar isi qissa ko hum dohrae jate hain

wo duzdida nigahen hon ki KHanjar-azma abru

mohabbat ki har ek manzil pe rahzan pae jate hain

bhari mahfil mein sab se hain muKHatab be-hijabana

magar bas ek hum hain jin se wo sharmae jate hain

KHayal-e-ujrat-e-mauhum par 'iqbaal' duniya mein

ye hum se zindagi ke bojh kyun uThwae jate hain

(612) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil-e-muztar Ko Hum Kuchh Is Tarah Samjhae Jate Hain In English By Famous Poet Iqbal Husain Rizvi Iqbal. Dil-e-muztar Ko Hum Kuchh Is Tarah Samjhae Jate Hain is written by Iqbal Husain Rizvi Iqbal. Read famous Poem Dil-e-muztar Ko Hum Kuchh Is Tarah Samjhae Jate Hain for youth and Student by Iqbal Husain Rizvi Iqbal. Free Download Dil-e-muztar Ko Hum Kuchh Is Tarah Samjhae Jate Hain in PDF.