Hum Kahan Aur Tum Kahan Jaanan

hum kahan aur tum kahan jaanan

hain kai hijr darmiyan jaanan

raegan wasl mein bhi waqt hua

par hua KHub raegan jaanan

mere andar hi to kahin gham hai

kis se puchhun tera nishan jaanan

aalam-e-be-karan-e-rang hai tu

tujh mein Thahrun kahan kahan jaanan

main hawaon se kaise pesh aaun

yahi mausam hai kya wahan jaanan

raushni bhar gai nigahon mein

ho gae KHwab be-aman jaanan

dard-mandan-e-ku-e-dildari

gae ghaarat jahan tahan jaanan

ab bhi jhilon mein aks paDte hain

ab bhi nila hai aasman jaanan

hai jo purkhon tumhaara aks-e-KHayal

zaKHm aae kahan kahan jaanan

(2658) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Kahan Aur Tum Kahan Jaanan In English By Famous Poet Jaun Eliya. Hum Kahan Aur Tum Kahan Jaanan is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Hum Kahan Aur Tum Kahan Jaanan for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Hum Kahan Aur Tum Kahan Jaanan in PDF.