Kahun Ye Kaise Ki Jine Ka Hausla Dete

kahun ye kaise ki jine ka hausla dete

magar yahi ki mujhe gham koi naya dete

shab-e-guzishta bahut tez chal rahi thi hawa

sada to di pe kahan tak tujhe sada dete

kai zamane isi pech-o-tab mein guzre

ki aasman ko tere panw par jhuka dete

ye kahiye lauh-e-jabin par hai dagh-e-ruswai

zamane wale hamein KHak mein mila dete

hui thi hum se jo laghzish to tham lena tha

hamare hath tumhein umr bhar dua dete

bhala hua ki koi aur mil gaya tum sa

wagarna hum bhi kisi din tumhein bhula dete

koi ho lamha-e-fursat ki baiTh kar hum bhi

zara urus-e-tamanna ko aaina dete

mila hai jurm-e-wafa par azab-e-mahjuri

hum apne aap ko is se kaDi saza dete

zaban pe kis liye ye harf-e-nagawar aata

hamare zaKHm hamara agar pata dete

zara si der Thaharti jo gardish-e-ayyam

use shabab-e-gurezan ka wasta dete

(371) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahun Ye Kaise Ki Jine Ka Hausla Dete In English By Famous Poet Khalilur Rahman Azmi. Kahun Ye Kaise Ki Jine Ka Hausla Dete is written by Khalilur Rahman Azmi. Read famous Poem Kahun Ye Kaise Ki Jine Ka Hausla Dete for youth and Student by Khalilur Rahman Azmi. Free Download Kahun Ye Kaise Ki Jine Ka Hausla Dete in PDF.