BichhaD Ke Un Ke Hum Is Ehtimal Se Bhi Gae

bichhaD ke un ke hum is ehtimal se bhi gae

bayan-e-gham se gae arz-e-haal se bhi gae

thi jin ki yaad se raushan KHayal ki duniya

wo aise ruThe bisat-e-KHayal se bhi gae

nigahen milne se mumkin hai pyar aa jae

hum un ki bazm mein kuchh is KHayal se bhi gae

unhon ne aa ke koi haal tak nahin puchha

banawaTi hi sahi indimal se bhi gae

dil un ko de ke bahut mutmain hue hum bhi

ki rose rose ki ab dekh-bhaal se bhi gae

nigah-e-lutf nahin to nigah-e-qahr sahi

sitam to ye hai hum is ehtimal se bhi gae

wo aae chin-ba-jabin is liye sar-e-mahfil

hum un se ab to jawab-o-sawal se bhi gae

dil ek piyala tha miTTi ka wo bhi TuT gaya

nigah milte hi jam-e-sifal se bhi gae

KHuda pe chhoD ke ai 'mauj' kashti-e-ulfat

sukun pa gae fikr-e-maal se bhi gae

(382) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BichhaD Ke Un Ke Hum Is Ehtimal Se Bhi Gae In English By Famous Poet Mauj Fatehgarhi. BichhaD Ke Un Ke Hum Is Ehtimal Se Bhi Gae is written by Mauj Fatehgarhi. Read famous Poem BichhaD Ke Un Ke Hum Is Ehtimal Se Bhi Gae for youth and Student by Mauj Fatehgarhi. Free Download BichhaD Ke Un Ke Hum Is Ehtimal Se Bhi Gae in PDF.