Haal-e-dil Sun Ke Mera Sar-ba-gareban Kyun Hain

haal-e-dil sun ke mera sar-ba-gareban kyun hain

jo kiya aap ne ab us pe pasheman kyun hain

mad-bhare nain ye aur husn-o-jawani ka nikhaar

aaina dekh ke aaj aap bhi hairan kyun hain

meri har sai-e-wafa ho gai be-kar magar

dil mein phir bhi mere baDhte hue arman kyun hain

meri nakaamiyon ka marsiya paDhne ke bajae

kuchh bataen to sahi aap ghazal-KHwan kyun hain

pahle aaghaz-e-mohabbat mein sahaara de kar

aap ab meri mohabbat se pareshan kyun hain

mere ashaar to paDhte hain baDe shauq se aap

aur ashaar ke KHaliq se gurezan kyun hain

bahr-e-ulfat mein safine to bahut hain ai 'mauj'

meri hi kashti ko ghere hue tufan kyun hain

(387) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haal-e-dil Sun Ke Mera Sar-ba-gareban Kyun Hain In English By Famous Poet Mauj Fatehgarhi. Haal-e-dil Sun Ke Mera Sar-ba-gareban Kyun Hain is written by Mauj Fatehgarhi. Read famous Poem Haal-e-dil Sun Ke Mera Sar-ba-gareban Kyun Hain for youth and Student by Mauj Fatehgarhi. Free Download Haal-e-dil Sun Ke Mera Sar-ba-gareban Kyun Hain in PDF.