Jazbaat Ka KHamosh Asar Dekh Raha Hun

jazbaat ka KHamosh asar dekh raha hun

bechain hai dil aankh ko tar dekh raha hun

KHakistar-e-parwana hai bujhti hui shamen

rangin mohabbat ki sahar dekh raha hun

mauhum hua jata hai ab maqsad-e-hasti

baatil ko haqiqat pe zabar dekh raha hun

chhae hain kuchh is tarah mere dida-o-dil par

har samt wahi hain main jidhar dekh raha hun

manzil ka pata hai na maqamat safar ka

tayyar hai ab raKHt-e-safar dekh raha hun

jis rah se guzre the mohabbat ke musafir

sunsan wahi rahguzar dekh raha hun

ai 'mauj' bala-KHez hai dariya-e-mohabbat

tufan ka aalam hai jidhar dekh raha hun

(391) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jazbaat Ka KHamosh Asar Dekh Raha Hun In English By Famous Poet Mauj Fatehgarhi. Jazbaat Ka KHamosh Asar Dekh Raha Hun is written by Mauj Fatehgarhi. Read famous Poem Jazbaat Ka KHamosh Asar Dekh Raha Hun for youth and Student by Mauj Fatehgarhi. Free Download Jazbaat Ka KHamosh Asar Dekh Raha Hun in PDF.