Nazron Ka Mohabbat Bhara Paigham Bahut Hai

nazron ka mohabbat bhara paigham bahut hai

majbur-e-wafa ke liye inam bahut hai

kuchh baada-o-saghar ki zarurat nahin mujh ko

aankhon se chhalakti mai-e-gulfam bahut hai

kya haal ho kya jaane shab-e-gham ki sahar ka

betabi-e-dil aaj sar-e-sham bahut hai

tauhin-e-mohabbat hain mohabbat mein ye shikwe

lagta hai abhi husn-e-talab-KHam bahut hai

be-wajh mujhe bewafa kahte to ho lekin

tum par bhi isi qism ka ilzam bahut hai

nadan rah-e-ishq ko aasan na samjhen

is rah mein kaThinai ba-har-gam bahut hai

is shauq adaon ko koi kuchh nahin kahta

charcha meri ulfat ka sar-e-am bahut hai

kuchh aa hi gaya dost ka dushman ka saliqa

ehsan tera gardish-e-ayyam bahut hai

afkar-e-zamana kabhi afkar-e-mohabbat

hai zindagi thoDi si magar kaam bahut hai

ai 'mauj' sukun-baKHsh hain amwaj-e-mohabbat

aaghosh mein tufan ke bhi aaram bahut hai

(429) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazron Ka Mohabbat Bhara Paigham Bahut Hai In English By Famous Poet Mauj Fatehgarhi. Nazron Ka Mohabbat Bhara Paigham Bahut Hai is written by Mauj Fatehgarhi. Read famous Poem Nazron Ka Mohabbat Bhara Paigham Bahut Hai for youth and Student by Mauj Fatehgarhi. Free Download Nazron Ka Mohabbat Bhara Paigham Bahut Hai in PDF.