Jahan Gham Hai Na Ab Koi KHushi Hai

jahan gham hai na ab koi KHushi hai

mohabbat us jagah par aa gai hai

jise dekho use apni paDi hai

zamane ki bahut haalat giri hai

musalsal fikr-e-duniya fikr-e-uqba

ab aisi zindagi kya zindagi hai

main apne dil ki baaten kah raha hun

zamane ke liye ye shairi hai

sakun milta hai un ki yaad kar ke

ilaj-e-tishnagi KHud tishnagi hai

dilon mein hai andhera ahd-e-nau ka

ba-zahir raushni hi raushni hai

baDi mushkil hai mir-e-karwan ki

bahut phaili hui be-rah-rawi hai

nai tahzib mein sab kuchh hai lekin

faqat insaniyat hi ki kami hai

ye lagta hai taraqqi kar rahe hain

girawaT rose baDhti ja rahi hai

kahin patthar na phike ye zamana

teri fikr-o-amal shishagari hai

uTha hai ek kone mein dhuan sa

kahin shayad koi bijli giri hai

karun ai 'mauj' kya ummid-e-sahil

ki ab tufan mein kashti ghiri hai

(376) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jahan Gham Hai Na Ab Koi KHushi Hai In English By Famous Poet Mauj Fatehgarhi. Jahan Gham Hai Na Ab Koi KHushi Hai is written by Mauj Fatehgarhi. Read famous Poem Jahan Gham Hai Na Ab Koi KHushi Hai for youth and Student by Mauj Fatehgarhi. Free Download Jahan Gham Hai Na Ab Koi KHushi Hai in PDF.