Dil Mein Bandon Ke Bahut KHauf-e-KHuda Tha Pahle

dil mein bandon ke bahut KHauf-e-KHuda tha pahle

ye zamana kabhi itna na bura tha pahle

ram ke raj ki taswir thi apni dharti

maslak-e-fikr-o-amal uns-o-wafa tha pahle

ek insan se be-wajh ho insan ko bair

ye watira kabhi dekha na suna tha pahle

hindu-o-muslim-o-isai-o-sikh mel se the

aapsi prem ka ulfat ka maza tha pahle

qaumi yak-jehti ka aadarsh tha ye bhaaratwarsh

hum ne paigham-e-wila sab ko diya tha pahle

baadshah aur gada sab ke barabar the huquq

nayay mein koi bhi chhoTa na baDa tha pahle

rast-goi thi yahan ghair-muqaffal the makan

desh mein aisa bhi ek daur raha tha pahle

desh mein phir se mohabbat ho rawadari ho

kash aa jae zamana jo raha tha pahle

maujzan rahta tha tufan-e-uKHuwat ai 'mauj'

dil mein tufan mohabbat ka basa tha pahle

(416) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Mein Bandon Ke Bahut KHauf-e-KHuda Tha Pahle In English By Famous Poet Mauj Fatehgarhi. Dil Mein Bandon Ke Bahut KHauf-e-KHuda Tha Pahle is written by Mauj Fatehgarhi. Read famous Poem Dil Mein Bandon Ke Bahut KHauf-e-KHuda Tha Pahle for youth and Student by Mauj Fatehgarhi. Free Download Dil Mein Bandon Ke Bahut KHauf-e-KHuda Tha Pahle in PDF.