Jab Hum Hudud-e-dair-o-haram Se Guzar Gae

jab hum hudud-e-dair-o-haram se guzar gae

har samt un ka jalwa ayan tha jidhar gae

is tarah wo nigah-e-karam aaj kar gae

dil ko surur-e-baada-e-ulfat se bhar gae

wo hum ko apne dil ke hi andar nihan mila

jis ki talash karte hue dar-ba-dar gae

kuchh ahl-e-zarf dekhte hain us ke nur ko

mahrum didiyon ko bahut dida-war gae

dil le gaya hamein phir usi bewafa ke pas

jaana nahin tha hum ko jahan hum magar gae

wo aa gae to jal uThe ummid ke charagh

wo hans diye to bazm mein moti bikhar gae

aankhon mein ashk-e-gham liye hum waqt-e-alwida

nazron se un ke sath ta-hadd-e-nazar gae

dekha hamein to garam-nigahi pighal gai

mizhgan ke tir bhaun ki kaman se utar gae

un ke mazid wadon pe kaise yaqin ho

ab tak jo wada kar ke barabar makr gae

ye aur aur baat phir gaya pani ummid par

hum un ki bazm mein kisi ummid par gae

phir us ko purshish-e-gham-e-ulfat se faeda

ghuT ghuT ke jis ke sine mein arman mar gae

ai 'mauj' meri kashti-e-ulfat wahin rahi

tufan mere chaaron taraf se guzar gae

(320) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Hum Hudud-e-dair-o-haram Se Guzar Gae In English By Famous Poet Mauj Fatehgarhi. Jab Hum Hudud-e-dair-o-haram Se Guzar Gae is written by Mauj Fatehgarhi. Read famous Poem Jab Hum Hudud-e-dair-o-haram Se Guzar Gae for youth and Student by Mauj Fatehgarhi. Free Download Jab Hum Hudud-e-dair-o-haram Se Guzar Gae in PDF.