Jaur-e-zamin Na Tha Sitam-e-asman Na Tha

jaur-e-zamin na tha sitam-e-asman na tha

wo bhi tha waqt jab ki gham-e-do-jahan na tha

koi bhi lutf-e-zist tah-e-asman na tha

duniya meri KHarab thi tu mehrban na tha

sunta ye kaun zabt pe qabu nahin hai ab

achchha hua jo koi mera raaz-dan na tha

diwangi ne baat bana di ki us se main

zid kar raha hun ab ki ye mera bayan na tha

badnam KHud hue ho zaban se nikal kar

mera siwa tumhaare koi raaz-dan na tha

sajdon ki dad mil gai bab-e-qubul se

mana nazar ke samne wo aastan na tha

mayusi-e-nazar ke manazir hain KHaufnak

phir aap hi kahenge mujhe ye guman na tha

wo mere samne the main tha un ke samne

jab tak ki mera raaz kisi par ayan na tha

lillah hum se qissa-e-'alim' na puchhiye

sunte hain lash par koi bhi nauha-KHwan na tha

(331) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaur-e-zamin Na Tha Sitam-e-asman Na Tha In English By Famous Poet Mirza Altaf Husain Alam Lucknwi. Jaur-e-zamin Na Tha Sitam-e-asman Na Tha is written by Mirza Altaf Husain Alam Lucknwi. Read famous Poem Jaur-e-zamin Na Tha Sitam-e-asman Na Tha for youth and Student by Mirza Altaf Husain Alam Lucknwi. Free Download Jaur-e-zamin Na Tha Sitam-e-asman Na Tha in PDF.