KHatm Hoga Ab Safar Pesh-e-nazar Hai Ru-e-dost
KHatm hoga ab safar pesh-e-nazar hai ru-e-dost
aa rahi hai aaj ki manzil se mujh ko bu-e-dost
aage aage hasraten aur pichhe pichhe main chala
is tarah ghar se nikal kar ja raha hun su-e-dost
pahle to dil ne jigar ki jaan na-qadri se li
DhunDhta phirta hai aalam bhar mein ab pahlu-e-dost
wah-ri qismat ki gardun par sahar hone lagi
go paDe the mere bazu par abhi gesu-e-dost
KHud-baKHud meri rag-e-gardan phaDak uThti hai aaj
kar raha hai koi zikr-e-quwwat-e-bazu-e-dost
lafz jo dil ki talab mein tha wo bilkul sehr tha
baaton hi baaton mein mujh par chal gaya jadu-e-dost
koi diwana chala hai hashr mein is waza se
chaak ta-daman gareban munh pe KHak-e-ku-e-dost
dil se mujh ko saf saf aaKHir ye kah dena paDa
ab wahi saKHti bhi jhele jo bigaDe KHu-e-dost
ho agar zinda tum ai 'alim' to ab hoshyar ho
kab talak soya karoge thak gaya zanu-e-dost
(441) Peoples Rate This