Kisi Hasrat-zada Ne KHud-kushi Manzur Ki Dil Se

kisi hasrat-zada ne KHud-kushi manzur ki dil se

sada labbaik ki sun kar zamin-e-ku-e-qatil se

KHuda ke waste dam bhar to ai baad-e-ajal tham ja

ki le lun kuchh hawa main daman-e-shamshir-e-qatil se

Thaharna o dil-e-betab phir tu bhi to sine mein

nikal aae taDap kar mauj jab aaghosh-e-sahil se

zamin se aasman tak meri betabi ka charcha hai

sabaq leti hai bijli aa ke mere qalb-e-bismil se

koi tadbir socho taki dil aa jae qabu mein

kahin main qaid ho sakta hun in tauq-o-salasil se

abhi dekho to meri mashq kis had tak pahunchti hai

bana lunga kabhi tum ko bhi apna jazb-e-kaamil se

gira tha qatra-e-awwal jo mere KHun-e-nahaq se

uThi thi surKH ek aandhi zamin-e-ku-e-qatil se

wo ab aate hi honge aur yan par aa ke baiThenge

KHudawanda ye baaten kab talak 'alim' kare dil se

(373) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Hasrat-zada Ne KHud-kushi Manzur Ki Dil Se In English By Famous Poet Mirza Altaf Husain Alam Lucknwi. Kisi Hasrat-zada Ne KHud-kushi Manzur Ki Dil Se is written by Mirza Altaf Husain Alam Lucknwi. Read famous Poem Kisi Hasrat-zada Ne KHud-kushi Manzur Ki Dil Se for youth and Student by Mirza Altaf Husain Alam Lucknwi. Free Download Kisi Hasrat-zada Ne KHud-kushi Manzur Ki Dil Se in PDF.