Na Falak Hoga Na Ye Kucha-e-qatil Hoga

na falak hoga na ye kucha-e-qatil hoga

mere kahne mein kisi din jo mera dil hoga

jab numayan wo sawar-e-rah-e-manzil hoga

na to main aap mein hunga na mera dil hoga

aadhi raat aa gai bas bas dil-e-betab sambhal

hum samajhte hain jo is karb ka hasil hoga

ruKHsat ai wahshat-e-tanhai-o-ghurbat ruKHsat

KHauf hi kya hai jo hamrah mere dil hoga

raat ka KHwab nahin jis ki har ek de tabir

ye wo arman hai pura jo ba-mushkil hoga

tera kya zikr hai zindan ki hilegi diwar

nala-kash jab koi paband-e-salasil hoga

Tal din main ne ye kah kah ke ziden bachpan ki

aaina bhi koi shai hai jo muqabil hoga

Dubne jaega shayad koi mayus visal

majma-e-am suna hai lab-e-sahil hoga

chaudhwan sal use deta hai muzhda 'alim'

le mubarak ho ki ab tu mah-e-kaamil hoga

(323) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Falak Hoga Na Ye Kucha-e-qatil Hoga In English By Famous Poet Mirza Altaf Husain Alam Lucknwi. Na Falak Hoga Na Ye Kucha-e-qatil Hoga is written by Mirza Altaf Husain Alam Lucknwi. Read famous Poem Na Falak Hoga Na Ye Kucha-e-qatil Hoga for youth and Student by Mirza Altaf Husain Alam Lucknwi. Free Download Na Falak Hoga Na Ye Kucha-e-qatil Hoga in PDF.