Dad Milti Nazar-e-ahl-e-nazar Se Pahle

dad milti nazar-e-ahl-e-nazar se pahle

maut aati jo kahin dil ko jigar se pahle

tasfiya karte na hangam-e-sahar se pahle

puchh lete kisi mayus nazar se pahle

mera marna tumhein ho jaega KHud hi malum

dil taDap uTThega sine mein KHabar se pahle

tum to kahte the ki main dard ka qail hi nahin

kaun chiKHa mere nalon ke asar se pahle

nam jis chiz ka hai maut jahan mein mashhur

waqia ye to hua dard-e-jigar se pahle

aaj ki raat to kuchh aur KHabar deti hai

ho munasib to chale aana sahar se pahle

ek bijli si meri aankhon ke andar kaundi

aur irada jo hua azm-e-safar se pahle

roi majburiyon par chaaragaron ki qismat

mar gaya aap ka bimar sahar se pahle

main bhi samjha hun tere naqsh-e-qadam ka matlab

main bhi guzra tha isi rahguzar se pahle

(325) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dad Milti Nazar-e-ahl-e-nazar Se Pahle In English By Famous Poet Mirza Altaf Husain Alam Lucknwi. Dad Milti Nazar-e-ahl-e-nazar Se Pahle is written by Mirza Altaf Husain Alam Lucknwi. Read famous Poem Dad Milti Nazar-e-ahl-e-nazar Se Pahle for youth and Student by Mirza Altaf Husain Alam Lucknwi. Free Download Dad Milti Nazar-e-ahl-e-nazar Se Pahle in PDF.