Achchha Hua Ye Waqt To Aana Zarur Tha

achchha hua ye waqt to aana zarur tha

muddat se kashmakash mein dil-e-na-subur tha

duniya ka hoshiyar baDa zi-shuur tha

jab tak mere kahe mein dil-e-na-subur tha

mera qusur meri nazar ka qusur tha

wo jis qadar qarib tha utna hi dur tha

achchha hua jo dil ki taDap aur baDh gai

jaana bhi un ki bazm mein mujh ko zarur tha

us be-nishan ka aaj nishan DhunDte hain aap

suniye wahi jo nazish-e-ahl-e-qubur tha

wo daur meri umr ka tha yaadgar daur

jis mein ki tere husn pe mujh ko ghurur tha

le aaya kaun gor-e-ghariban mein khinch kar

koson abhi main manzil-e-maqsad se dur tha

waiz ne zikr-e-wada-e-firdaus kyun kiya

us rind se jo nashsha-e-wahdat se chur tha

ab aa ke meri lash se farma rahe hain wo

'alim' ye teri aql-o-farasat se dur tha

(421) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Achchha Hua Ye Waqt To Aana Zarur Tha In English By Famous Poet Mirza Altaf Husain Alam Lucknwi. Achchha Hua Ye Waqt To Aana Zarur Tha is written by Mirza Altaf Husain Alam Lucknwi. Read famous Poem Achchha Hua Ye Waqt To Aana Zarur Tha for youth and Student by Mirza Altaf Husain Alam Lucknwi. Free Download Achchha Hua Ye Waqt To Aana Zarur Tha in PDF.