Hijr Ki Raaten

hijr ki raaten kali kali

is par yaad kisi ki jari

aise gahre sannaTe mein

kis se kahen hum gham ki kahani

duniya sari soti hai

tare ginna bechaini mein

aahen bharna betabi mein

aah hamari sone walo

is haalat mein lachaari mein

raat basar yun hoti hai

kushta-e-gham ki ab turbat par

hasrat roti hai hasrat par

ek udasi ka aalam hai

sone wale ki qismat par

sham-e-baalin roti hai

jis mein hasrat ki basti hai

jis ki bulandi har pasti hai

yani jis ko dil kahte hain

jis par sab duniya hansti hai

ek anokha moti hai

charKH ne bedardi be-rahmi

sach to yahi hai us se sikhi

aao 'alim' kuchh to batao

sab kuchh hai par yas kisi ki

yaad bhala kyun khoti hai

(470) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hijr Ki Raaten In English By Famous Poet Mirza Altaf Husain Alam Lucknwi. Hijr Ki Raaten is written by Mirza Altaf Husain Alam Lucknwi. Read famous Poem Hijr Ki Raaten for youth and Student by Mirza Altaf Husain Alam Lucknwi. Free Download Hijr Ki Raaten in PDF.