Aaluda-e-isyan KHud Ki Hai Dil Wo Man-e-isyan Kya Hoga

aaluda-e-isyan KHud ki hai dil wo man-e-isyan kya hoga

jo apni hifazat kar na saka wo mera nigahban kya hoga

zauq-e-dil-e-shahan paida kar taj-e-sar-e-shahan kya hoga

jo luT na sake wo saman kar luT jae jo saman kya hoga

gham-KHana sanam-KHana aiwan ya KHana-e-viran kya hoga

qissa hai dil-e-diwana ka hairan hun ki unwan kya hoga

jo sair-e-chaman ko aata hai wo talib-e-gul hi hota hai

puchhe koi un na-danon se KHar-e-chamanistan kya hoga

kuchh shikwa nahin itna sun le ai mast-e-sitam nawak-afgan

dil hi na rahega jab mera phir tera ye paikan kya hoga

ai hansne hansane wale ja afsurdagi-e-dil baDhti hai

jis ko ho azal se nisbat-e-gham hansne se wo KHandan kya hoga

aaj apni 'nazar' se wo dekhen ye silsila-e-tufan aa kar

kal kahte the jo hairan ho kar sahil pe bhi tufan kya hoga

(531) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaluda-e-isyan KHud Ki Hai Dil Wo Man-e-isyan Kya Hoga In English By Famous Poet Mohammad Abdul Hameed Siddiqi Nazar Lakhnawi. Aaluda-e-isyan KHud Ki Hai Dil Wo Man-e-isyan Kya Hoga is written by Mohammad Abdul Hameed Siddiqi Nazar Lakhnawi. Read famous Poem Aaluda-e-isyan KHud Ki Hai Dil Wo Man-e-isyan Kya Hoga for youth and Student by Mohammad Abdul Hameed Siddiqi Nazar Lakhnawi. Free Download Aaluda-e-isyan KHud Ki Hai Dil Wo Man-e-isyan Kya Hoga in PDF.