Jahan Mein Jins-e-wafa Kam Hai Kal-adam To Nahin

jahan mein jins-e-wafa kam hai kal-adam to nahin

hamare hausla-e-dil ko ye bhi kam to nahin

hum ek sans mein pi jaen jam-e-jam to nahin

sarishk-e-gham hain piyenge par ek dam to nahin

tumhaare qahr ki KHatir akele hum to nahin

nigah-e-mehr bhi Dalo tumhein qasam to nahin

KHuda ka ghar hai mera dil yahan sanam to nahin

ye mai-kada to nahin hai ye kuchh haram to nahin

mere ghamon ka tujhe kya lagega andaza

ki tujh ko apne hi gham hain parae gham to nahin

mere KHayal mein pechidgi sahi lekin

tumhaari zulfon ki manind pech-o-KHam to nahin

junun nahin hamein pichhe lagen jo duniya ke

KHuda ke bande hain hum banda-e-shikam to nahin

hazar kaif bahisht-e-barin mein hain lekin

dil apna jis ka hai KHugar wo kaif-e-gham to nahin

lagegi der sambhalne mein laghzish0-e-dil se

sambhal khaDe hon nazar laghzish-e-qadam to nahin

(566) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jahan Mein Jins-e-wafa Kam Hai Kal-adam To Nahin In English By Famous Poet Mohammad Abdul Hameed Siddiqi Nazar Lakhnawi. Jahan Mein Jins-e-wafa Kam Hai Kal-adam To Nahin is written by Mohammad Abdul Hameed Siddiqi Nazar Lakhnawi. Read famous Poem Jahan Mein Jins-e-wafa Kam Hai Kal-adam To Nahin for youth and Student by Mohammad Abdul Hameed Siddiqi Nazar Lakhnawi. Free Download Jahan Mein Jins-e-wafa Kam Hai Kal-adam To Nahin in PDF.