Fitna-za Fikr Har Ek Dil Se Nikal Achchha Hai

fitna-za fikr har ek dil se nikal achchha hai

aae gar husn-e-KHayal us ko sambhaal achchha hai

mere ehsas-e-KHudi par na koi zad aae

tu jo de de mujhe be-harf sawal achchha hai

aap manen na bura gar to kahun ai naseh

sahab-e-qal se to sahib-e-haal achchha hai

be-KHayali na rahe KHam-KHayali se bacho

dil mein bas jae jo un ka hi KHayal achchha hai

tere ruKH par ho masarrat to mera dil masrur

tere chehre pe na ho gard-e-malal achchha hai

pursish-e-gham bhi nahin niz mulaqat nahin

aap ko hum se gharibon ka KHayal achchha hai

koi kahta hai mubarak ho tujhe daur-e-firaq

main samajhta hun magar roz-e-visal achchha hai

mulk-giri ki hawas mein ho to fitna KHud hi

aur fitna ko miTae to qital achchha hai

be-niyaz-e-gham-e-uqba jo 'nazar' tujh ko kare

aal-o-aulad wo achchhi na wo mal achchha hai

(464) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fitna-za Fikr Har Ek Dil Se Nikal Achchha Hai In English By Famous Poet Mohammad Abdul Hameed Siddiqi Nazar Lakhnawi. Fitna-za Fikr Har Ek Dil Se Nikal Achchha Hai is written by Mohammad Abdul Hameed Siddiqi Nazar Lakhnawi. Read famous Poem Fitna-za Fikr Har Ek Dil Se Nikal Achchha Hai for youth and Student by Mohammad Abdul Hameed Siddiqi Nazar Lakhnawi. Free Download Fitna-za Fikr Har Ek Dil Se Nikal Achchha Hai in PDF.