Musalman Dekh Kar Ab Dil Ki Hairani Nahin Jati

musalman dekh kar ab dil ki hairani nahin jati

kuja sirat ki surat tak bhi pahchani nahin jati

hadis-e-gham sunane se pareshani nahin jati

magar kuchh log hain jin ki ye nadani nahin jati

janab-e-shaiKH bol uTThen ba-har mabhas ba-har mauqa

ki un ki KHu-e-pindar-e-hama-dani nahin jati

suna sail-e-tamanna mein hazaron shahr-e-dil Dube

magar phir bhi tamannaon ki tughyani nahin jati

sajaya hum ne taswir-e-butan se KHana-e-dil ko

magar bain hama us ghar ki virani nahin jati

mohammad-mustafa ki shan-e-rifat koi kya jaane

jahan wo hain wahan tak fikr-e-insani nahin jati

kiya logon ne gard-alud kitna chehra-e-mazi

'nazar' hairat hai phir bhi is ki tabani nahin jati

(556) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Musalman Dekh Kar Ab Dil Ki Hairani Nahin Jati In English By Famous Poet Mohammad Abdul Hameed Siddiqi Nazar Lakhnawi. Musalman Dekh Kar Ab Dil Ki Hairani Nahin Jati is written by Mohammad Abdul Hameed Siddiqi Nazar Lakhnawi. Read famous Poem Musalman Dekh Kar Ab Dil Ki Hairani Nahin Jati for youth and Student by Mohammad Abdul Hameed Siddiqi Nazar Lakhnawi. Free Download Musalman Dekh Kar Ab Dil Ki Hairani Nahin Jati in PDF.