Manzil Mile Be-hausla-e-jaan Nahin Dekha

manzil mile be-hausla-e-jaan nahin dekha

hote hue aisa to kabhi han nahin dekha

ghair aae gae phul chune bu bhi uDai

hum aise ki apna hi gulistan nahin dekha

daman bhi salamat hai gareban bhi salamat

ai josh-e-junun tujh ko numayan nahin dekha

hain tere tasallut mein fazaen bhi zamin bhi

tujh mein hi magar zauq-e-sulaiman nahin dekha

hai chashm-e-tasawwur bhi ye darmanda-o-ajiz

tujh ko kabhi ai jalwa-e-pinhan nahin dekha

ehsas-e-ziyan wae ki hai ru-ba-tanazzul

kal tha jo use aaj pasheman nahin dekha

kitne hi suKHan-war-o-suKHan-dan 'nazar' aise

jin ko kabhi mahfil mein ghazal-KHwan nahin dekha

(462) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Manzil Mile Be-hausla-e-jaan Nahin Dekha In English By Famous Poet Mohammad Abdul Hameed Siddiqi Nazar Lakhnawi. Manzil Mile Be-hausla-e-jaan Nahin Dekha is written by Mohammad Abdul Hameed Siddiqi Nazar Lakhnawi. Read famous Poem Manzil Mile Be-hausla-e-jaan Nahin Dekha for youth and Student by Mohammad Abdul Hameed Siddiqi Nazar Lakhnawi. Free Download Manzil Mile Be-hausla-e-jaan Nahin Dekha in PDF.