Chehra Un Ka Subh-e-raushan Gesu Jaise Kali Raat

chehra un ka subh-e-raushan gesu jaise kali raat

baaten un ki subhan-allah goya quran ki aayat

ruKH ka jalwa pinhan rakkha paida kar ke maKHluqat

husn-e-zahir sab ne dekha kis ne dekha husn-e-zat

jazbe ki sab garmi sardi bahte ashkon ki barsat

hum ne sare mausam dekhe hum par guzre sab haalat

gham ki sari chaalen gahri bachte bachte aaKHir-kar

dekha is bechaare dil ne bebas ho kar khai mat

jite-ji kab duniya puchhe marte hi is darja pyar

hathon-hath uThae duniya lae ashkon ki saughat

husn-e-KHud-bin jis ki fitrat sheKHi shoKHi zulm-o-jaur

dam-e-ulfat mein phans jae meri aankhon dekhi baat

umr-e-payan ki manzil mein ahd-e-mazi aae yaad

ab bhi 'nazar' mein raqsan mere bhule bachpan ke lamhat

(504) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chehra Un Ka Subh-e-raushan Gesu Jaise Kali Raat In English By Famous Poet Mohammad Abdul Hameed Siddiqi Nazar Lakhnawi. Chehra Un Ka Subh-e-raushan Gesu Jaise Kali Raat is written by Mohammad Abdul Hameed Siddiqi Nazar Lakhnawi. Read famous Poem Chehra Un Ka Subh-e-raushan Gesu Jaise Kali Raat for youth and Student by Mohammad Abdul Hameed Siddiqi Nazar Lakhnawi. Free Download Chehra Un Ka Subh-e-raushan Gesu Jaise Kali Raat in PDF.