Ashk-uftada Nazar Aate Hain Sare Dariya

ashk-uftada nazar aate hain sare dariya

sail-e-girya ne ye nazron se utare dariya

dekh len gar meri ashkon ke sharare dariya

KHushk barsat mein hon KHauf ke mare dariya

donon chashmon se meri ashk baha karte hain

mauj-zan rahta hai dariya ke kinare dariya

raghbat is tark ko machhli ke kababon se nahin

aatish-e-shauq se sheKHi na baghaare dariya

kaam ashkon ki rawani se na nikla aaKHir

justuju-e-dur-e-maqsud mein haare dariya

jis ko izzat de use phir na kare be-izzat

kulah-e-sar na hababon ki utare dariya

sath ghairon ke wahan tum to nahane ko gae

roe yan hum gham-e-furqat mein tumhaare dariya

hasil-e-gauhar-e-maqsud hai rone se mujhe

dida-e-tar ke badaulat hai ijare dariya

aankh se mujh ko bulata nahin wo qulzum-e-husn

chashm-e-girdab se karta hai ishaare dariya

bar-e-ulfat ko jo le sar pe to nikle na kasak

ta-qayamat kamar-e-koh jo dhaare dariya

jab main rota hun nazar aata hai pani pani

dam-e-girya meri aankhon ke hain tare dariya

furqat-e-yar mein kya sair karen dariya ki

ai 'saba' dida-e-giryan hain hamare dariya

(961) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ashk-uftada Nazar Aate Hain Sare Dariya In English By Famous Poet Wazir Ali Saba Lakhnavi. Ashk-uftada Nazar Aate Hain Sare Dariya is written by Wazir Ali Saba Lakhnavi. Read famous Poem Ashk-uftada Nazar Aate Hain Sare Dariya for youth and Student by Wazir Ali Saba Lakhnavi. Free Download Ashk-uftada Nazar Aate Hain Sare Dariya in PDF.