Is Ke Ghar Se Mere Ghar Tak Ek Kahani Bich Mein Hai

is ke ghar se mere ghar tak ek kahani bich mein hai

meri us ki rahguzar tak ek kahani bich mein hai

chappa chappa us ki gali ka raha hai mere zer-e-qadam

josh-e-junun se azm-e-safar tak ek kahani bich mein hai

zulf-o-lab-o-ruKHsar kisi ka hai mera mauzu-e-suKHan

tariki se nur-e-nazar tak ek kahani bich mein hai

KHun-e-jigar shamil hai mera is gulzar ki raunaq mein

sehn-e-chaman se barg o shajar tak ek kahani bich mein hai

kaun-o-makan ki har shai mein hain fitrat ke asrar-o-rumuz

bahr-o-bar se shams-o-qamar tak ek kahani bich mein hai

mal bhi aksar ho jata hai jaan ka logon ki janjal

batn-e-sadaf se lal-o-gohar tak ek kahani bich mein hai

zid na karo tum sun na sakoge 'barqi' ka ye soz-e-darun

tir-e-nazar se zaKHm-e-jigar tak ek kahani bich mein hai

(1533) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Ke Ghar Se Mere Ghar Tak Ek Kahani Bich Mein Hai In English By Famous Poet Ahmad Ali Barqi Azmi. Is Ke Ghar Se Mere Ghar Tak Ek Kahani Bich Mein Hai is written by Ahmad Ali Barqi Azmi. Read famous Poem Is Ke Ghar Se Mere Ghar Tak Ek Kahani Bich Mein Hai for youth and Student by Ahmad Ali Barqi Azmi. Free Download Is Ke Ghar Se Mere Ghar Tak Ek Kahani Bich Mein Hai in PDF.