Ruswa Bhi Hue Jam PaTakna Bhi Na Aaya

ruswa bhi hue jam paTakna bhi na aaya

rindon ko saliqe se bahakna bhi na aaya

wo log meri tarz-e-safar jaanch rahe hain

manzil ki taraf jin ko humakna bhi na aaya

tha jin mein saliqa wo bhari bazm mein roe

hum ko to kahin chhup ke sisakna bhi na aaya

hum aise bala-nosh ki chhalkate hi guzri

tum aise tunuk-zarf chhalakna bhi na aaya

hum jag rahe the so abhi jag rahe hain

ai zulmat-e-shab tujh ko thapakna bhi na aaya

lalchai koi zulf na machla koi daman

is bagh ke phulon ko mahakna bhi na aaya

kam-baKHt su-e-dair-o-haram bhag rahi hain

gulshan ki hawaon ko sanakna bhi na aaya

lahraati zara pyas zara kan hi bajte

in KHali kaToron ko khanakna bhi na aaya

(1031) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ruswa Bhi Hue Jam PaTakna Bhi Na Aaya In English By Famous Poet Ezaz Afzal. Ruswa Bhi Hue Jam PaTakna Bhi Na Aaya is written by Ezaz Afzal. Read famous Poem Ruswa Bhi Hue Jam PaTakna Bhi Na Aaya for youth and Student by Ezaz Afzal. Free Download Ruswa Bhi Hue Jam PaTakna Bhi Na Aaya in PDF.