Ye Kaun Jalwa-fagan Hai Meri Nigahon Mein

ye kaun jalwa-fagan hai meri nigahon mein

qadam qadam pe barasta hai nur rahon mein

bharosa had se siwa tha mujhe kabhi jis par

mere KHilaf hai shamil wahi gawahon mein

supurdagi ka ye aalam bhi kya qayamat hai

simaT ke yun tera aa jaana meri bahon mein

teri panah mein rah kar bhi jo nahin mahfuz

mera shumar hai aise hi be-panahon mein

kab aasman ka phahTta hai dil ye dekhna hai

badal rahi hain meri siskiyan karahon mein

main kaise pesh karun dawa parsai ka

main ek umr mulawwis raha gunahon mein

bana hai jab se wo 'nayab' ham-safar mera

bichhe hue hain masarrat ke phul rahon mein

(1756) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kaun Jalwa-fagan Hai Meri Nigahon Mein In English By Famous Poet Jahangeer Nayab. Ye Kaun Jalwa-fagan Hai Meri Nigahon Mein is written by Jahangeer Nayab. Read famous Poem Ye Kaun Jalwa-fagan Hai Meri Nigahon Mein for youth and Student by Jahangeer Nayab. Free Download Ye Kaun Jalwa-fagan Hai Meri Nigahon Mein in PDF.