Pahlu Ko Tere Ishq Mein Viran Nahin Dekha

pahlu ko tere ishq mein viran nahin dekha

is dil ko kabhi KHali-az-arman nahin dekha

surat ko meri dekh ke hairat hai tumhein kya

tum ne to mera haal-e-pareshan nahin dekha

musa hue behosh tajalli-e-laqa se

talib the magar jalwa-e-jaanan nahin dekha

rote hain gunahon pe wahi jin mein hai iman

kafir ko kabhi hum ne pasheman nahin dekha

dekha jo mera dagh-e-jigar hans ke wo bole

aisa to charagh-e-tah-e-daman nahin dekha

ai dard-e-jigar chain zara lene de mujh ko

tujh sa bhi koi jaan ka KHwahan nahin dekha

sar kaT ke gira shauq se qatil ke qadam par

aisa bhi koi banda-e-ehsan nahin dekha

rone pe meri tum ko tahayyur ye abas hai

kya tum ne kabhi abr ko giryan nahin dekha

dekhi hai bahut aap ne aaine ki hairat

aashiq ka magar dida-e-hairan nahin dekha

sar-gashta wo sahra-e-musibat mein na hoga

jis ne teri zulfon ko pareshan nahin dekha

puchha jo 'jamila' se to wo mujh se ye bole

dil sa to koi dusra aiwan nahin dekha

(641) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pahlu Ko Tere Ishq Mein Viran Nahin Dekha In English By Famous Poet Jameela Khuda Bakhsh. Pahlu Ko Tere Ishq Mein Viran Nahin Dekha is written by Jameela Khuda Bakhsh. Read famous Poem Pahlu Ko Tere Ishq Mein Viran Nahin Dekha for youth and Student by Jameela Khuda Bakhsh. Free Download Pahlu Ko Tere Ishq Mein Viran Nahin Dekha in PDF.