Nash Us Aashiq-e-nashad Ki UThwane Do

nash us aashiq-e-nashad ki uThwane do

ab use zer-e-zamin chain se so jaane do

dil bahal jae to tanhai ki kulfat bhi miTe

shab-e-furqat ki balaon ko to aa jaane do

sainkaDon gauhar-e-nayab to paida honge

chand jhaale meri aankhon se baras jaane do

be kafan phenk hi dena mere lashe ko magar

kucha-e-pak mein mahbub ke mar jaane do

liye baiTha hun bayaban mein pahlu KHali

kya milae hain junun tu ne ye virane do

mai ki hajat na kabhi mujh ko rahi ai saqi

KHun se labrez hain un aankhon ke paimane do

shama-ru jaan bhi hui dil bhi hua tujh pe fida

jal gae ishq ke hathon se ye parwane do

sath mere dil-e-nashad hai tanha main nahin

aae hain dar pe shah-e-din tere diwane do

sath us zulf ke uljhe na hamari qismat

ab ise tum dil-e-sad-chaak se suljhane do

hoga pur-nur siyah-KHana hamare dil ka

is mein tum ghaus-e-KHuda ko zara aa jaane do

rah chuka dair-o-kalisa mein bahut muddat tak

ai junun su-e-haram ab to mujhe jaane do

un ke fiqron mein na aaenge ye sachche aashiq

waiz aae hain jo samjhane to samjhane do

faKHr hai naz hai us par to 'jamila' mujh ko

tum sag-ku-e-jamali mujhe kahlane do

(697) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nash Us Aashiq-e-nashad Ki UThwane Do In English By Famous Poet Jameela Khuda Bakhsh. Nash Us Aashiq-e-nashad Ki UThwane Do is written by Jameela Khuda Bakhsh. Read famous Poem Nash Us Aashiq-e-nashad Ki UThwane Do for youth and Student by Jameela Khuda Bakhsh. Free Download Nash Us Aashiq-e-nashad Ki UThwane Do in PDF.