Tu Bhi Chup Hai Main Bhi Chup Hun Ye Kaisi Tanhai Hai

tu bhi chup hai main bhi chup hun ye kaisi tanhai hai

tere sath teri yaad aai kya tu sach-much aai hai

shayad wo din pahla din tha palken bojhal hone ka

mujh ko dekhte hi jab us ki angDai sharmai hai

us din pahli bar hua tha mujh ko rifaqat ka ehsas

jab us ke malbus ki KHushbu ghar pahunchane aai hai

husn se arz-e-shauq na karna husn ko zak pahunchana hai

hum ne arz-e-shauq na kar ke husn ko zak pahunchai hai

hum ko aur to kuchh nahin sujha albatta us ke dil mein

soz-e-raqabat paida kar ke us ki nind uDai hai

hum donon mil kar bhi dilon ki tanhai mein bhaTkenge

pagal kuchh to soch ye tu ne kaisi shakl banai hai

ishq-e-pechan ki sandal par jaane kis din bel chaDhe

kyari mein pani Thahra hai diwaron par kai hai

husn ke jaane kitne chehre husn ke jaane kitne nam

ishq ka pesha husn-parasti ishq baDa harjai hai

aaj bahut din baad main apne kamre tak aa nikla tha

jun hi darwaza khola hai us ki KHushbu aai hai

ek to itna habs hai phir main sansen roke baiTha hun

virani ne jhaDu de ke ghar mein dhul uDai hai

(4816) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tu Bhi Chup Hai Main Bhi Chup Hun Ye Kaisi Tanhai Hai In English By Famous Poet Jaun Eliya. Tu Bhi Chup Hai Main Bhi Chup Hun Ye Kaisi Tanhai Hai is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Tu Bhi Chup Hai Main Bhi Chup Hun Ye Kaisi Tanhai Hai for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Tu Bhi Chup Hai Main Bhi Chup Hun Ye Kaisi Tanhai Hai in PDF.